Monday, January 24, 2011

Agar humne na kiya to kaun karega




Agar humne na kiya to kaun karega

Is desh ke liye apna lahu kaun bahayega

Jinhone seencha tha is Desh ki mitti ko apne khoon se

Us Desh ki raksha ab kaun karega
Agar humne na kiya to kaun karega....
ye ghar hai, is ghar k ghar me dushaman bahut
In dushmano ko humne na Bhagaya to kaun bhagayega

Manjil abhi door bahut hai,
aur raaste par dushmano
Ne kaante bhi bahut hai bichhaye
In kaanto ko humne na hataya to kaun hatayega
Agar humne na kiya to kaun karega...
Uth, Jaag Apni raah bana aur ek jordar Garjana kar

Ki Dushman door tak ka bhi Hil jayega
Is gandgi ko humne saaf na karaya to kaun karayega

Humne na kiya to kaun karega...


by- Mahendra
V

No comments:

Post a Comment